Saturday, September 13, 2008

Aaj Sochaa To Aansoon Bhar Aaey

Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekhaa
Unki Mehfil Se Ham Utth To Aaey

Reh Gaee Zindagi Dard Ban Ke
Dard Dil Mein Chhupaey Chhupaey

Dil Ki Naazuk Ragein Toot-tee Hain
Yaad Itnaa Bhi Koi Naa Aaey

Aaj Sochaa To Aansoon Bhar Aaey
Muddatein Ho Gaee Muskuraey

Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Madan Mohan
Movie : Hanste Zakhm (1973)

Friday, September 12, 2008

Seene Mein Jalan

Dil Hai To Dhadakney Kaa Bahaanaa Koi Dhoonde
Pat-thar Ki Tarah Be-His-O-Be-Jaan Saa Kyon Hai

Tanhaai Ki Ye Kaun Si Manzil Hai Raqeebon
Ta-Hadd-E-Nazar Ek Biya-Baan Saa Kyon Hai

Kyaa Koi Naee Baat Nazar Aati Hai Ham Mein
Aainaa Hamein Dekh Ke Hairaan Saa Kyon Hai

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofaan Saa Kyon Hai
Is Shehr Mein Har Shaks Pareshaan Saa Kyon Hai

Lyrics : Shahriyaar
Music : Jaidev
Movie : Gaman (1978)

Monday, September 8, 2008

Hazaaron Khwahishein Aisi

Nikalnaa Khuld Se Aadam Kaa Suntey Aaey They Lekin
Bohot Be-Aabaroo Hokar Tere Koochey Se Ham Nikle

Mohabbat Mein Nahee Hai Farq Jeeney Aur Marney Kaa
Usee Ko Dekhkey Jeetey Hai Jis Kaafir Pe Dam Nikle

Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dam Nikle
Bohot Nikle Mere Armaan Lekin Fir Bhi Kam Nikle

Edited To Add:

Kahaan Maikhaane Ka Darwaaza Gaalib, Aur Kahaan Waiz
Par Itna Jaante Hain, Kal Woh Jaataa Thaa, Ke Ham Nikle

Lyrics : Mirza Asad-Ul-Allah Khan Galib
Music : Shantanu Moitra
Movie : Hazaaron Khwahishein Aisi (2003)