Saturday, October 6, 2012

Jab Bhi Ye Dil Udaas Hotaa Hai

Honth Chup-Chaap Bolte Ho Jab
Saans Kuchh Tez Tez Chaltee Ho
Aankhein Jab De Rahee Ho Aawaazein
Thandee Aanhon Mein Saans Jaltee Ho

Aankh Mein Tair-tee Hai Tasveerein
Teraa Chehraa Teraa Khayaal Liye
Aaina Dekhtaa Hai Jab Mujhko
Ek Maasoom Saa Sawaal Liye

Koi Vaadaa Nahee Kiya Lekin
Qyun Teraa Intezaar Rehtaa Hai
Be-Wajaa Jab Karaar Mil Jaa-e
Dil Bada Be-Karaar Rehtaa Hai

Jab Bhi Ye Dil Udaas Hotaa Hai
Jaane Kaun Aas Paas Hotaa Hai

Lyrics : Gulzaar
Music :Shankar Jaikishen
Movie : Seema (1971)

Saturday, March 19, 2011

Dikhai Diye Yun

Jab(-Bh)i Sajdaa Kartey Hi, Kartey Gayee
Haq-E-Bandagee Ham Adaa Kar Chaley

Parashtish Ki Y(ah)aa Tak, Ki Ae But Tujhey
Nazar Mein Sabho(n) Ki Khudaa Kar Chaley

Bohot Aarzoo Thi Galee Ki Teree
So Y(ah)aa Se Lahoo Mein Nahaa Kar Chaley

Dikhai Diye Yun Ki Be-khud Kiya
Hamein Aapse Bhi Judaa Kar Chaley

Lyrics : Meer-Taqi-Meer
Music : Khayyam
Movie : Bazaar (1982)

Saturday, December 11, 2010

Aa Aa Bhi Jaa

Teri Yaad Mein Bekhabar,
Shamaa Ki Taraah Raat Bhar,
Jali Aarzoo, Dil Jalaa

Sitaaron Ne Muh Pher Kar,
Kahaa Alvidaa Hamsafar,
Chalaa Kaaravaan Ab Chalaa

Ufaq Par Khadi Hai Sahar,
Andheraa Hai Dil Mein Idhar,
Wahi Roz Ka Silsilaa

Lyrics : Shailendra
Music : Shankar Jaikishan
Movie : Teesri Kasam (1967)

Saturday, July 25, 2009

Sarfaroshi Ki Tamannaa

O Re Bismil Kaash Aatey, Aaj Tum Hindo-sataan
Dekhtey Ki Mulk Saaraa, Key Tashan Mein, Thrill Mein Hai

Aaj Kaa Laundaa Ye Kehtaa, Hum To Bismil Thak Ga-ey
Apni Aazaadi To Bismil, Laundiya Ke Dil Mein Hai

Aaj Ki Mehfil Mein Bismil, Ek Goongaa Gaa Rahaa,
Aur Behron Ka Ye Relaa, Naachtaa Mehfil Mein Hai

Haath Ki Khaadi Banaaney Kaa Zamaanaa Lad Gayaa
Apni To Chaddee Bhi Silti, Ingliso Ke Mil Mein Hai

Lyrics : Piyush Mishra (adopted from Ramprasad Bismil)
Music : Piyush Mishra
Movie : Gulaal (2009)

Wednesday, February 18, 2009

Gam Hai Yaa Khushee Hai Tuu

Aafaton Ke Daur Mein
Chain Ki Ghadee Hai Tuu

Meri Raahat Kaa Charaag
Meri Neend Bhi Hai Tuu

Main Khizaa Ki Shaam Hoon
Rut Bahaar Ki Hai Tuu

Doston Key Darmeyaan
Wajhe-Dostee Hai Tuu

Meri Saaree Umr Mein
Ek Hi Kamee Hai Tuu

Main To Wo Naheen Rahaa
Haan Magar Wohi Hay Tuu

Naasir Is Dayaar Main
Kitnaa Ajnabi Hay Tuu

Gam Hai Yaa Khushi Hai Tuu
Meri Zindagi Hai Tuu

Lyrics : Naasir : Adapted by Majrooh Sultanpuri for movie Kartoos (1999)
Music : Nusrat Fateh Ali Khan

Tuesday, February 10, 2009

Khelo Naa Mere Dil Se

Muskuraa Ke Dekhtey To Ho Mujhey
Gam Hai Kis Liye Nigaah Mein
Manzil Apni Tum Alag Basaao-gey
Mujhko Chhod Do-gey Raah Mein

Qyun Nazar Milaaee Thee Lagaav Se
Has Ke Dil Meraa Liyaa Thaa Qyun
Qyun Miley They Zindagi Ke Mod Pe
Mujhko Aasraa Diyaa Thaa Qyun

Pyaar Kyaa Dillagi, Pyaar Kyaa Khel Hai
Khelo Naa Mere Dil Se
O Mere Saajanaa, O Saajanaa, O Saajanaa

Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Madan Mohan
Movie : Haqeeqat (1964)

Friday, December 12, 2008

Saarey Jahan Se Achchhaa

Gurbat Mein Ho Agar Ham, Rehtaa Hai Dil Watan Mein,
Samjho Waheen Hamein Bhi, Dil Ho Jahaan Hamaaraa

Parbat Wo Sab Se Oonchaa, Ham-Saayaa Aasmaan Kaa
Wo Santree Hamaaraa, Wo Paasbaan Hamaaraa

Godi Mein Kheltee Hai, Iskee Hazaaron Nadiyaa
Gulshan Hai Jinke Dam Se, Rashk-E-Janaa Hamaaraa

Ae Aab-E-Rood-E-Gangaa, Wo Din Hai Yaad Tujhko
Utaraa Tere Kinaarey, Jab Kaaravaan Hamaaraa

Mazhab Nahee Sikhaataa Aapas Mein Bair Rakhnaa
Hindi Hai Ham, Watan Hai, Hindostaan Hamaaraa

Yunaan-Misr-O-Romaa, Sab Mit Gaey Jahaan Se,
Lekin Abhi Hai Baakee, Nam-O-Nishaan Hamaaraa

Kuchh Baat Hai Ki Hastee Mit-tee Nahee Hamaaree,
Sadiyon Rahaa Hai Dushman Daur-E-Zamaan Hamaaraa

Iqbaal Koi Mehrim, Apnaa Nahee Jahaan Mein,
Maloom Kyaa Kisisko, Dard-E-Nihaa Hamaaraa

Lyrics : Sir Allaanaa Dr Mohammad Iqbal Sapru
Music : Pandit Ravi Shankar