Friday, December 12, 2008

Saarey Jahan Se Achchhaa

Gurbat Mein Ho Agar Ham, Rehtaa Hai Dil Watan Mein,
Samjho Waheen Hamein Bhi, Dil Ho Jahaan Hamaaraa

Parbat Wo Sab Se Oonchaa, Ham-Saayaa Aasmaan Kaa
Wo Santree Hamaaraa, Wo Paasbaan Hamaaraa

Godi Mein Kheltee Hai, Iskee Hazaaron Nadiyaa
Gulshan Hai Jinke Dam Se, Rashk-E-Janaa Hamaaraa

Ae Aab-E-Rood-E-Gangaa, Wo Din Hai Yaad Tujhko
Utaraa Tere Kinaarey, Jab Kaaravaan Hamaaraa

Mazhab Nahee Sikhaataa Aapas Mein Bair Rakhnaa
Hindi Hai Ham, Watan Hai, Hindostaan Hamaaraa

Yunaan-Misr-O-Romaa, Sab Mit Gaey Jahaan Se,
Lekin Abhi Hai Baakee, Nam-O-Nishaan Hamaaraa

Kuchh Baat Hai Ki Hastee Mit-tee Nahee Hamaaree,
Sadiyon Rahaa Hai Dushman Daur-E-Zamaan Hamaaraa

Iqbaal Koi Mehrim, Apnaa Nahee Jahaan Mein,
Maloom Kyaa Kisisko, Dard-E-Nihaa Hamaaraa

Lyrics : Sir Allaanaa Dr Mohammad Iqbal Sapru
Music : Pandit Ravi Shankar

Thursday, December 11, 2008

Meraa To Jo Bhi Kadam Hai

Kharaa Hai Dard Ka Rishtaa To Fir Judaai Kyaa
Judaa To Hotey Hai Wo, Khot Jin Ki Chaah Mein Hai

Chhupaa Huaa Saa Mujhee Mein Hai Tu Kaheen Ai Dost
Meri Hasee Mein Nahee Hai, To Meri Aah Men Hai

Meraa To Jo Bhi Kadam Hai Wo Teri Raah Mein Hai
Ke Tu Kaheen Bhi Rahey Tu Meri Nigaah Mein Hai

Lyrics : Majrooh Sultanpuri
Music : Lakshmikant Pyarelal
Movie : Dosti (1964)

Thursday, October 2, 2008

Nigaahein Milaane Ko Jee Chaahataa Hai

Wo Tohmat Jisey Ishq Kehtee Hai Duniyaa
Wo Tohmat Utthaaney Ko Jee Chaahataa Hai

Kisi Ke Manaaney Mein Lazzat Wo Paaee
Ki Fir Rootth Jaaney Ko Jee Chaahataa Hai

Nigaahein Milaane Ko Jee Chaahataa Hai
Dil-O-Jaan Lutaaney Ko Jee Chaahataa Hai

Lyrics : Sahir Ludhiyanvi
Music : Roshan Nagrath
Movie : Dil Hi To Hai (1963)

Saturday, September 13, 2008

Aaj Sochaa To Aansoon Bhar Aaey

Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekhaa
Unki Mehfil Se Ham Utth To Aaey

Reh Gaee Zindagi Dard Ban Ke
Dard Dil Mein Chhupaey Chhupaey

Dil Ki Naazuk Ragein Toot-tee Hain
Yaad Itnaa Bhi Koi Naa Aaey

Aaj Sochaa To Aansoon Bhar Aaey
Muddatein Ho Gaee Muskuraey

Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Madan Mohan
Movie : Hanste Zakhm (1973)

Friday, September 12, 2008

Seene Mein Jalan

Dil Hai To Dhadakney Kaa Bahaanaa Koi Dhoonde
Pat-thar Ki Tarah Be-His-O-Be-Jaan Saa Kyon Hai

Tanhaai Ki Ye Kaun Si Manzil Hai Raqeebon
Ta-Hadd-E-Nazar Ek Biya-Baan Saa Kyon Hai

Kyaa Koi Naee Baat Nazar Aati Hai Ham Mein
Aainaa Hamein Dekh Ke Hairaan Saa Kyon Hai

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofaan Saa Kyon Hai
Is Shehr Mein Har Shaks Pareshaan Saa Kyon Hai

Lyrics : Shahriyaar
Music : Jaidev
Movie : Gaman (1978)

Monday, September 8, 2008

Hazaaron Khwahishein Aisi

Nikalnaa Khuld Se Aadam Kaa Suntey Aaey They Lekin
Bohot Be-Aabaroo Hokar Tere Koochey Se Ham Nikle

Mohabbat Mein Nahee Hai Farq Jeeney Aur Marney Kaa
Usee Ko Dekhkey Jeetey Hai Jis Kaafir Pe Dam Nikle

Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dam Nikle
Bohot Nikle Mere Armaan Lekin Fir Bhi Kam Nikle

Edited To Add:

Kahaan Maikhaane Ka Darwaaza Gaalib, Aur Kahaan Waiz
Par Itna Jaante Hain, Kal Woh Jaataa Thaa, Ke Ham Nikle

Lyrics : Mirza Asad-Ul-Allah Khan Galib
Music : Shantanu Moitra
Movie : Hazaaron Khwahishein Aisi (2003)

Wednesday, August 27, 2008

Ham Hain Mataa-E-Koochaa-E-Baazaar Ki Tarah

Wo To Kaheen Hai Aur Magar Dil Ke Aas Paas
Ghirti Hai Koi Shay, Nigaah-E-Yaar Ki Tarah

Majrooh Likh Rahein Hai Woh Ehl-E-Wafaa Kaa Naam
Ham Bhi Khade Huey Hai Gunaahagaar Ki Tarah

Ham Hain Mataa-E-Koochaa-E-Baazaar Ki Tarah
Utthati Hai Har Nigaah Khareedaar Ki Tarah

Lyrics : Majrooh Sultanpuri
Music : Madan Mohan
Movie : Dastak (1970)

About Bade Dino Ke Baad

This is my attempt to have a collection of good-lyric songs and Hindustani poems